Letra da música
Noor wala aya hai, Noor lekar aya hai
Saaray Alam mai ye dekho, kesa noor chaya hai
As-salato wassalamo alaika, Ya Rasool Allah
As-salato wassalamo alaika, Ya Habib Allah
Jab talak ye chand taaray, jhil milatay jayen gy
Tab talak jashn e wiladat, hum manatey jayen gy
Noor wala aya hai, Noor lekar aya hai
Saaray Alam mai ye dekho, kesa noor chaya hai
Naat e mehboob e khuda, suntay sunatay jayen gy
Ya Rasool Allah ka, naara lagatay jayen gy
Noor wala aya hai, Noor lekar aya hai
Saaray Alam mai ye dekho, kesa noor chaya hai
Chaar janib hum diye ghee, kay jalatay jayen gy
Ghar to ghar saray mohallay, ko sajatay jayen gy
Noor wala aya hai, Noor lekar aya hai
Saaray Alam mai ye dekho, kesa noor chaya hai
Eid e milad un Nabi ki, shab chiraghaa karke hum
Qabr noor e Mustafa se, jagmagate jayen gy
Noor wala aya hai, Noor lekar aya hai
Saaray Alam mai ye dekho, kesa noor chaya hai
Tum karo jashn e wiladat, ki khushi mai roshni
Wo tumhari goar teera, jagmagatay jayen gy
Noor wala aya hai, Noor lekar aya hai
Saaray Alam mai ye dekho, kesa noor chaya hai
Jashn e Milad e Mubarak, kese choren hum bhala
Jinka khaatay hain unhi kay, geet gatay jayen gay
Noor wala aya hai, Noor lekar aya hai
Saaray Alam mai ye dekho, kesa noor chaya hai