Lời bài hát
Tu agar meri, yeh hawayein teri
Tu agar meri, saari raahein teri
Tu agar meri, main hoon tera
Tu agar meri, yeh ujaale tere
Tu agar meri, dil hawale tere
Tu agar meri, main hoon tera
Betaab-sa mohabbat ka tu inqalaab hai
Mera jahaan teri baahon mein khwaab, khwaab hai
Gehra hua, gehra hua
Rang aashiqui gehra hua
Gehra hua, gehra hua
Dariya dua gehra hua
Tera hua
Tu agar meri, yeh hawayein teri
Tu agar meri, saari raahein teri
Tu agar meri, main hoon tera
Palkein jhapakta hai aasmaan
Laakhon farishton ki hai tu jaan
Woh poochhte hain Rehti kahaan?
Meri baahon mein rehti, unko bata
Palkein jhapakta hai aasmaan
Usne bhi tujh-sa dekha kahaan
Hai raunakien wahan, tu hai jahaan
Meri baahon mein rehna, yahi hai dua
Tu agar meri, hai fasaana tera
Tu agar meri, toh zamaana tera
Tu agar meri, main hoon tera
Betaab-sa mohabbat ka tu inqalaab hai
Mera jahaan teri baahon mein khwaab, khwaab hai
Gehra hua, gehra hua
Rang aashiqui gehra hua
Tera hua
Tu agar meri, yeh hawayein teri
Tu agar meri, saari raahein teri
Tu agar meri, main hoon tera
Teri mohabbat mein jalna bhi hai
Aur tujhse bachke hi chalna bhi hai
Kuch rang apna badalna bhi hai
Maine dhalna tere rang mein hai sada
Tu chaand hai ek dhadakta hua
Chori se mujhko hi takta hua
Seene se lag ke chamakta hua
Meri jannat ka rasta, tu hi tu hua
Tu agar meri, yeh hawayein teri
Tu agar meri, saari raahein teri
Tu agar meri, main hoon tera
Betaab-sa mohabbat ka tu inqalaab hai
Mera jahaan teri baahon mein khwaab, khwaab hai
Gehra hua, gehra hua
Rang aashiqui gehra hua
Gehra hua, gehra hua
Dariya dua gehra hua