Verse 1:
Bujha hua sa charagh hoon main ke jis ki koi sahar nahi hai
Mila wafaon ka ye sila hai ke us ko meri khabar nahi hai
Chorus:
Mohabbaton ki toheen hogi agar main waada shikan kahoon to
Main rahain takta hi reh gaya hoon idhar to us ka guzar nahi hai
Verse 2:
Qazaain hum se na ho sakain gi namazain teri mohabbaton ki
Sanam teri kaisi bey-rukhi hai ke mujh pe teri nazar nahi hai
Ending:
Yeh tay kiya hai ke hum ne Shahid usi ke ho kar to hum rahain ge
Usi ke darr par jiain marain ge ke aur koi ab darr nahi hai
音樂風格
Classical, Film Score, Hindustani Folk, Celtic Music, Sufi Music, Romantic, Female Voice vilan